Email Subscription

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Email Subscriptions

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

  • This is Slide 1 Title

    This is slide 1 description. Go to Edit HTML and replace these sentences with your own words.

  • This is Slide 2 Title

    This is slide 2 description. Go to Edit HTML and replace these sentences with your own words.

  • This is Slide 3 Title

    This is slide 3 description. Go to Edit HTML and replace these sentences with your own words.

Saturday, August 31, 2019

5 EASY SANDWICH I INSTANT SANDWICH I INDIAN STYLE SANDWICH I FEW TYPES OF SANDWICH RECIPES I TASTY SANDWICH RECIPE I CHEESE SANDWICH RECIPE

HELLO DOSTO KAISE HAI AAP LOG , AASHA KARTA HOON SAB ACCHE HE HONGE , OR AAPKE SAATH SE HAM BHI ACCHE HAI , CALIYE BAAT KARTE HAI AB HAM AAJ KE RECIPE KE BAARE ME , JO HAI BANANE ME BEHAD HE ASAAN OR KHANE ME BOHT HE TASTY , OR BOHY HE YUMMY BHI HAI , TO CALIYE BATATE HAI AB AAPKO IS RECIPE KE BAARE ME OR SHURU KARTE HAI AAJ KE RECIPE .

                                                   
                          INGREDIENTS


1 . BREAD AAPKI PASAND KE - 4 SLICE(WHITE BREAD , BROWN YA MULTIGRAIN- 4 SLICE)

2 . MAKKHAN-100 GM(BUTTER-100 GM)


3 . KALI MIRCH POWDER-1/2 CHOTA CAMMACH(BLACK PEPPER POWDER)


4 . TOMATO SAUCE-2 BADE CAMAMCH(2 TBS)


5 . HARI CHATNI-2 BADE CAMMACH(GREEN CHILI SAUCE-2 TBS)


6 . KHEERA-1(CUCUMBER-1)


7 . PYAJ-1 BADI(ONION-1 BIG)


8 . CHICKE-2OO GM


9 . ANDA-2(EGG-2)


10 . CHEESE-200 GM


11 . NAMAK- SWAD ANUSAR(SALT- AS PER TASTE)


12 . SHIMLA MIRCH-1 BADI(CAPSICUM-1 BIG)


13 . MAYONNAISE - 4 BADE CAMMACH(4 TBS)


14 . BANDGOBHI-4 BADE CAMMACH(CABBAGE-4 TBS)


15 . NIMBU-1(LEMON-1)


16 . TAMATAR-1(TOMATO-1)


17 . SEHAD-2 BADE CAMMACH(HONEY-2 TBS)


       
      FIRST SANDWICH BANANE KI VIDHI


1 . PAHLE KUCH SABJI LENGE JAISE TAMATAR , PYAJ , KHEERA , IN SABKO ACCHE SE DHOKAR , GOL YA DIAMOND SHAPE ME KAAT LENGE , 

2 . AB IN SABJIYO KO ACCHE SE FRY PAN ME THODA SA FRY KARLENGE .

3 . AB BREAD LENGE OR USPAR MAKKHAN LAGAYENGE OR SATH ME TOMATO SAUCH OR FIR USKE UPAR KATI HUE SARI SABJI JO AAPNE FRY KARENGE UNKO LAGAYENGE EK EK KARKE ..

4 , SAB SABJI ACCHE SE LAGANE KE BAAD AB DUSRI BRED PAR BHI MAKKHAN OR TOMATO SAUCE LAGAYNGE .

5 . AB TAVA YA GRILL PAN LENGE OR USPAR MAKKHAN LAGAKAR BREAD PAR USKO MAKKHAN VALI SIDE SE PAN PAR RAKHKAR ACCHE SE SEK LENGE KARARA HONE TAK .. AISE HE FIR DUSRI SIDE BHI KARENGE OR SEK LENGE OR FIR ACCHE SE KAAT KAR GARMA GARAM SERVE KARENGE SAUCE KE SAATH ..

       
   SECOND SANDWICH BANANE KI VIDHI

1 . CHICKEN KE TUKDE LENGE OR UNKO BOIL KARLENGE PANI ME ..

2 . PANI ME BOIL KARNE KE BAAD UNKO BILKUL ACCHI TAREAH SE CHOTE CHOTE PICE KARLENGE ..

3 . AB BREAD LENGE OR UNPAR ACCHE SE GREEN SAUCE LAGAKAR CHICKEN RAKHENGE OR US PAR TAMATAR , PYAJ , NAMAK , KALI MIRCH POWDER OR HARA DHANIYA CHOTA CHOTA KATKAR RAKHENGE OR CHEESE BHI RAKHENGE SAATH ME KHUB SARA FIR SATH ME TOMATO SAUCE OR HARI CATNI SATH MILAKAR DONO BREAD KO ACCHE SE BAND KARDENGE .

4 . AB BREAD PAR MAKKHAN LAGAKAR GAS PAR RAKHE TAVE YA GRILL PAN PAR RAKHKAR DONO JAGAH SE ACCHE SE SEKLENGE .OR GARMA GARAM PAROSENGE .

       
    THIRD SANDWICH BANANE KI VIDHI

1 . BREAD PAR MAKKHAN LAGAKAR SIDE RAKHENGE .

2 . PYAJ , TAMATAR , KHEERA ,INKO PATLA PATLA OR LAMBA LAMBA KAAT LENGE ..

3 . FIR IN KATI SABJIYO ME HALKA SEHAD (HONEY) , KALI MIRCH POWDER , NAMAK , NIMBU KA RAS , THODI GREEN CATNI MILAKAR ACCHE SE MIX KARLENGE . 

4 . AB SAB SABJIYO KO ACCHE SE BREAD PAR SET KARLENGE.

5 . AB BREAD PAR BUTTER LAGAKAR ACCHE SE FRY PAN ME DONO JAGAH SE ACCHE SE SEKLENGE KARARE HONE TAK FIR GARMA GARAM PAROSENGE .
    
   FOURTH SANDWICH BANANE KI VIDHI


1 . PANEER LENGE USKO ACCHE SE BARIK OR LAMBA BREAD KE BARABAR KATA HUA.

2 . AB IS KATE HUE PANEER KO FRY PAN ME HALKA BROWN HONE TAK SEK LENGE

3 . AB BREAD PAR BUTTER OR HARI CATNI OR TOMATO SAUCE KO MIX KARKE LAGAYENGE 

4 . AB SAUCE OR BUTTER LAGANE KE BAAD US PAR PANEER KE SLICE RAKHENGE OR GOL KATA HUA KHEERA , PYAJ OR TAMATAR RAKHENGE OR UPAR SE HALKA KALI MIRCH KA POWDER OR NAMAK DALKAR BREAD SE BAND KARENGE ...

5 . AB BREAD PAR BUTTER LAGAKAR ACCHE SE SEK LENGE KARARA HONE TAK ..


          FIFTH SANDWICH BANANE KI VIDHI

1 . PAHLE SABJI LENGE BANDGOBHI (CABBAGE) , PYAJ , KHEERA SABKO CHOTA OR BARIK KAATLENGE CHOTE CHOTE TUKDE ME .

2 . AB INME HALKA SIRKA YA NIMBU KA RAS MILAYENGE OR SAATH ME MAYONNAISE .OR BOIL CHICKEN KE KUCH CHOTE TUKDE MILAYENGE .

3 . AB BREAD PAR INKO LAGAKAR OR BREAD KE KINARE KAATKAR SABHI SANDWICH KO 4 HISSO ME KAATKAR SERVE KARENGE SAUCE KE SAATH . 


5 EASY SANDWICH I INSTANT SANDWICH I INDIAN STYLE SANDWICH I FEW TYPES OF SANDWICH RECIPES I TASTY SANDWICH RECIPE I CHEESE SANDWICH RECIPE
TO BATAYEN KAISE LAGI AAPKO YE EASY SE 5 RECIPE AGAR ACCHI LAGI TO APNI FAVORITE RECIPE KO JALDI SE TRY KARE OR GHAR ME BHI SABKO KHILAYE ......THANK YOU

CRISPY FRENCH FRIES WITH MELTED CHEESE I CHEESE FRENCH FRIES I INDIAN STYLE FRENCH FRIES I HOME MADE FRENCH FRIES I INSTANT TASTY FRENCH FRIES

HELLO DOSTO KAISE HAI AAP LOG , AASHA KARTA HOON SAB ACCHE HE HONGE , OR AAPKE SAATH SE HAM BHI BOHT ACCHE HAI , AASHA KARTA HOON AAP HAMESHA HE AISE SATH RAHENGE , CALIYE BAAT KARTE HAI AB AAJ KE RECIPE KE BAARE ME , JO BANANE ME BEHAD ASAAN OR KHANE ME TASTY HAI , OR BACCO KE TO MANPASANDIDA HAI BOHT HE JYADA CALIYE SHURU KARTE HAI AAJ KE RECIPE .


                                                INGREDIANTS


1 . ALLOO-500 GM(POTATO-500 GM)

2 . CORN FLOUR-200 GM)


3 . RED CHILI FLAKES-2 BADA CAMMACH(2 TBS)


4 . NAMAK- SWAD ANUSAR(SALT-AS PER TASTE)


5 . KALI MIRCH POWDER-1 CHOTI CAMMACH(BLACK PEPPER POWDER-1 TSP)


6 . CHEESE - 200 BM


7 . TEL - TALNE KE LEYE(OIL FOR FRYING)



                                         BANANE KE VIDHI



1 . PAHLE AALOO LENGE OR FIR USKO ACCHE SE DHOKAR FIR CHEELKAR LAMBA LAMBA KAAT LENGE UNGLI KE SHAPE ME .

2 . SAB ACCHE SE KATNE KE BAAD PANI UBALENGE OR SAARE KATE HUE ALLOO KO USME DALENGE OR 50 PERCENT BOIL HO JANE PAR ALLOO KO NIKALLENGE .

3 . SARE UBLE HUE ALLOO NIKAL KAR AB CORN FLOUR KA GHOL BANAYENGE PANI ME THODA GADA KARKE OR USME NAMAK OR KALI MIRCH POWDER BHI MIX KARENGE OR SAARE ALLOO PAR ACCHE SE DAL KAR ACCHE SE MIX KARLENGE .

4 . ACCHE SE MIX KARNE KE BAAD AB EK KADHAI LENGE USME OIL DAAL KAR ACCHE SE GARAM HONE PAR KATE HUE AALOO KO OIL ME DAL DENGE OR GOLDEN BROWN OR CRISPY HONE TAK ACCHE SE FRY KARLENGE .

5 . ACCHE SE FRY HOTE HE AB IN FRIES KO LENGE OR INPAR CHEESE DALENGE OR SATH ME CHILI FLAKES BHI OR 1 MINUTE KE LEYE OVEN ME RAKHENGE .

6 . CHEESE MELT HOTE HE HALKA SA COLOR AATE HE NIKALLENGE OR GARMA GARAM PAROSENGE APNI PASAND KE SAUCE KE SAATH ..

CRISPY FRENCH FRIES WITH MELTED CHEESE I  CHEESE FRENCH FRIES I INDIAN STYLE FRENCH FRIES I HOME MADE FRENCH FRIES I INSTANT TASTY FRENCH FRIES


                       ....BATAYE KAISE LAGI AAPKO HAMARI RECIPE ....

CRISPY SPICY PANCAKE I DOSA RECIPE I CHEESE DOSA RECIPE I DOSA RECIPE IN HINDI I INDIAN CRISPY DOSA RECIPE I SOUTH INDIAN DOSA RECIPE

HELLO DOSTO KAISE HAO AAP LOG , AASHA KARTA HOON SAB ACCHE HE HONGE , OR AAPKE SAATH SE HAM BHI ACCHE HAI , CALIYE BAAT KARTE HAI AAJ KE RECIPE KE BAARE ME,  CRISPY TOOKDE  JO KI BANANE BHI BOHT ASAN HAI OR KHANE ME TO BOHT HE JYADA TASTY , OR BOHT HE JYADA CRISPY TO AB AAIYE SHURU KARTE HAI RECIPE KO ...


                                       INGREDIENTS 

1 . RICE-1 CUP

2 . METHI DANA-1/2 CAMMACH( FENUGREEK SEEDS-1/2 TSP)


3 . NAMAK-SWAD ANUSAR(SALT- AS PER TASTE)


4 . LAL MIRCH POWDER-1 CHOTA CAMMACH(RED CHILI POWDER-1 TSP)


5 . TAMATAR-1(TOMATO-)


6 . PYAJ-1(ONION-1)


7 . ADRAK , LEHSUN PASTE-1 BADA CAMMACH(GINGER GARLIC PASTE-1 TBS)


8 . CHEENI - 1/2 CHOTA CAMMACH(SUGAR-1/2 TSP)


9 . HARA DHANIYA-2 BADE CAMMACH(FRESH CORIANDER-2 TBS)


10 . HARI MIRCH-2(GREEN CHILI-2)


11 . TEL - TALNE KE LEYE(OIL-FOR FRYING)


12 . KADI PATTA-1 BADA CAMMACH(CURRY LEAVES-1 TBS)


13 . SARSO KE DAANE-1/2 CHOTA CAMMACH(MUSTARD SEEDS-1/2 TSP)


14 . DHANIYA POWDER-1/2 CHOTA CAMMACH(CORIANDER POWDER-1/2 TSP)


15 . GARAM MASALA-1/2 CHOTA CAMMACH(INDIAN GARAM MASALA-1/2 TSP)


16 . KALI MIRCH-1/2 CHOTA CAMMACH(BLACK PEPPER -1/2 TSP)


17 . SUKHA NARIYAL-1 CUP(DRY COCONUT-1 CUP)


18 . PANEER-100 GM(COTTAGE CHEESE-100 GM)


19 . UBLE AALOO-2 BADE(BOIL POTATO-2 BIG)


20 . CHEESE-200GM


21 . HEENG-1/2 CHOTA CAMMACH(ASEFOETIDA -1/2 TSP)


22 . SHIMLA MIRCH-1 BADI(CAPSICUM-1 BIG)



           RICE KA PASTE BANANE KA TARIKA


1 . KUCH BHI BANANE SE PAHLE AAP 1 DIN PAHLE RICE , METHI DAANE THODE SE , CURRY LEAVES KALI MIRCH KO SATH MILAKAR FIR ACCHE SE GRINDER ME PIS KAR RAKHDENGE ACCHE SE DHAKKAR .


      TAMATAR CATNI BANANE KA TARIKA

1 . PAHLE EK FRY PAN LENGE USME THODA OIL SARSO KE BEEJ OR KADI PATTA DALKAR HALKA SA BHUNENGE OR SATH ME TAMATAR KE CHOTE TOOKDE , PYARJ KE CHOTE TOOKDE OR SATH HE ADRAK , LEHSUN KA PASTE , KUCH DANE KALI MIRCH , LAL MIRCH POWDER , NAMAK , HALDI , DHANIYA POWDER , OR SUGAR .

2 . THODA HALKE SE BHUNTE HE ISKO THANDA HONE PAR ACCHE SE GRINDER ME YA SIL BATTE PAR ACCHE SE PIS LENGE.

3 . ACCHE SE PISNE KE BAAD FIR EK FRY PAN LENGE USME SARSO KE BEEJ DALKAR THODE SE , SATH ME THODE SE KADI PATTA DALKAR YE TOMATO CATNI DALKAR ACCHE SE PAKA LENGE OR PAKJANE PAR SIDE RAKHLENGE EK BARTAN ME NIKAL KAR .

     DISH KE FILLING BANANE KA TARIKA

1 . PAHLE EK FRY PAN LENGE USKE ANDAR THODA OIL DALKAR BARIK KATI LAMBI PYAJ , BARIK KATI LAMBI SHIMLA MIRCH , SUGAR , BARIK LAMBA KATA TAMATAR , THODA ADRAK LEHSUN PASTE , KADI PATTA , SARSO KE BEEJ , DHANIYA , HARI MIRCH , HEENG , DALKAR ACCHE SE BHUN LENGE .

2 . THODA SA BHUNTE HE USME PANEER BILKUL ACCHE SE CHOTA CHOTA PEES KAR DALENGE OR HALKA BHUNENGE , USKE BAAD , UBLE AALOO DALENGE OR FIR SAB DALKAR ACCHE SE MIX KARLENGE

                MAIN DISH BANANE KA TARIKA

1 . AB 1 DIN PAHLE MIX RAKHE RICE KE MIXTURE KO EK BAAR OR ACCHE SE MIX KARLENGE KISE BARTAN KE MADAD SE .

2 . AB TAVA LENGE OR OIL DALKAR HALKA GARAM HOTE HE MIXTURE KO DALENGE OR ACCHE SE TAVE PAR SARI TARAF ACCHE SE FAILADENGE...OR DHYAN RAKHE JYADA PASTE NAHI DALNA HAI BILKUL KAM DALNA HAI OR PASTE BHI KAM DALNA HAI JISSE FAILANE PAR BILKUL KAM OR PATLA DOSA BANE..

3 . OR FIR HALKA PAKTE HE USPAR OIL DALENGE OR ACCHE SE PAKNE DENGE .

4 . OIL DALTE HE FIR ALOO OR PANEER KE JO FILLING TAIYAR KARI HAI USKO DALENGE PAR USKO DALNE SE PAHLE ACCHE SE KHUB SARA CHEESE DALENGE OR FIR FILLING DALKAR ACCHE SE FOLD KARLENGE OR THODA PAKNE DENGE JISSE KE CHEESE SARA MELT HOJAYE..

5 . ACCHE SE PAKNE KE BAAD USKO CHOTE CHOTE TUKDE ME KATKAR TAMATAR KE BANAI HUE CATNI KE SAATH SERVE KARENGE ......
CRISPY SPICY PANCAKE I DOSA RECIPE I CHEESE DOSA RECIPE I DOSA RECIPE IN HINDI I INDIAN CRISPY DOSA RECIPE I SOUTH INDIAN DOSA RECIPE


TO BATAIYE KAISE LAGI RECIPE AAJKI AAPKO AAGYA NA MOOH ME PANI AALPKE BHI JALDI SE UTHIYE OR SHURU HOJAIYE BANANA OR AAP  KHUD BHI KHAIYE OR GHAR ME BHI SABKO KHILAIYE ...... THANK YOU

Friday, August 30, 2019

BASI ROTI KA NASHTA I INDIAN STYLE BASI ROTI KA NASHTA I STALE BREAD BREAKFAST I BASI ROTI KA NASHTA RECIPE IN HINDI

HELLO DOSTO KAISE HAI AAP LOG , AASHA KARTA HOON SAB ACCHE HONGE , AAPKE SAATH OR PYAR SE HAM BHI BOHT ACCHE HAI , PLEASE HAMESHA HE HAMARA SAATH NIBHAIYEGA ,  CALIYE BAAT KARTE HAI AB AAJ KE RECIPE KE BAARE , ME JO BOHT HE SHANDAAR HAI , JO KI BANI HAI AAPKE RAAT KE BACHI HUE ROTI SE TO CALIYE SHURU KARTE HAI FIR AAJ KE RECIPE ...


                        INGREDIENTS


1 . RAAT KE BACHI HUE ROTI-2(LEFTOVER INDIAN BREAD-2)

2 . BESAN-2 CUP(GRAM FLOUR - 2 CUP)


3 . CORN FLOUR-2 BADE CAMMACH(2 TBS)


4 . LAL MIRCH POWDER-1 BADA CAMMACH(RED CHILI POWDER-1 TBS)


5 . HALDI-1 BADA CAMMACH(TURMERIC-1 TBS)


6 . NAMAK-SWAD ANUSAR(SALT AS PER TASTE)


7 . GARAM MASALA-1/2 CHOTA CAMMACH-(INDIAN GARAM MASALA SPICE-1/2 TSP)


8 . HARA DHANIYA-2 BADE CAMMACH(FRESH GREEN CORIANDER-2 TBS)


9 . HARI MIRCH-2 (FRESH GREEN CHILI-2)


10 . PYAJ-1 BADI(ONION-1 BIG)


11 .TEL-TALNE KE LEYE(OIL-FOR FRYING)



                                    BANANE KI VIDHI



1 . SABSE PAHLE BESAN LE OR USME NAMAK , LAL MIRCH , HALDI , BARIK KATA DHANIYA , BARIK KATI HARI MIRCH , GARAM MASALA , CORN FLOUR .

2 . SABKO EK SAATH ACCHE SE MILAYEGE OR PANI DALKAR ACCHE SE GADA SA GHOL BANALENGE OR DYAN RAKHIYEGA BILKUL BHI GUTHLI NA REHNE PAAYE USME SAB BILKUL ACCHE SE MIX HOJAYE ..

3 . SAB MIX HONE KE BAAD ACCHA SA PASTE BANNE KE BAAD EK BAAR THODA SA CAKHKAR DEKHLENGE KE MASALA NAMAK MIRCH SAB AAPKE ANUSAR HAI TO THIK NAHI TO JO KAM HAI APNE HISAB SE KAM JYADA KARLENGE .

4 . SAB HONE KE BAAD RAAT KE ROTI LENGE OR USKO TIKONA SHAPE ME KATLENGE YA APNI KISE BHI PASANDIDA SHAPE ME KATLENGE . 
BASI ROTI KA NASHTA I INDIAN STYLE BASI ROTI KA NASHTA I STALE BREAD BREAKFAST I BASI ROTI KA NASHTA RECIPE IN HINDI

5 . AB EK KADHAI ME OIL DALENGE OR MEDIUM GARAM HONE PAR ROTI KE TUKDE JO KATE HAI UNKO LENGE OR ACCHE SE BESAN LAGAKAR OIL ME EK EK KARKE DALTE JAYENGE OR DONO TARAF SE ACCHE SE FRY HONE PAR NIKALLENGE OR GARMA GARAM PAROSENGE TOMATO SAUCE KE SAATH ,,,,,,,,


BATAIYE KAISE LAGI RECIPE HAINA BOHT ASAAN AISE RECIPE AAP TO KYA AAPKE BACCE OR AAPKE PARIVAR KE HAR INSAAN KO PASAND AAYEGI JO RAAT KI ROTI KHANA BHI PASAND NAHI KARTE VO LOG BHI BAAR BAAR AAPSE KHANE KE LEYE MANGEGE JINKO AAPKO BAAR BAAR MANA KARNA PADEGA .......

SPICY GREEN CATNI I MINT SAUCE I PUDINE KE CATNI I SPICY MINT SAUCE I HOME MADE MINT SAUCE I INDIAN STYLE MINT SAUCE I MINT SAUCE RECIPE IN HINDI

Hello Dosto Kaise Ho Aap Sab Log Aasha Karta Hoon Sab Thik He Honge Or Aapke Sath Se Ham Bhi Thik Hai .. To Aaj Ham Laaye Hai Aapke Leye Ek Aise Catni Jo Aap Kise Bhi Hotel Me Jaaye Ya Koi Bhi Indian Snack Khana Caahe To Vo Khane Ko Jarur Milti Hai Aapko . To Ham Baat Karrahe Hai Ham Hari Catni (Spicy Green Sauce) Ke Baare Me Jise Khate He Maja Aajata Hai Or Khate He Ham Kehte Hai Kitne Spicy Tasty Sauce Hai Or Fir Sochte Hai Ki Banti Kaise Hai Kya Kya Dalte Hai Isme Aise Ke Itne Tasty Or Spicy Hai Vo Bhi Bina Lal Mirch Powder Ke ,, To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ke Jhatpat Recipe Jo Asani Or Boht He Jaldi Ban Jayegi .


                                                                                          Ingrediants 


1 . Hara Dhaniya -200 GM(Green Coriander-200 GM)

2 . Hari Mirch-5(Fresh Green Chili-3)


3 . Pudina-200 GM(Mint-200 GM)


4 . Sukha Dhaniya-1 CHOTA CAMMACH(Dry Coriander Seeds- 1 TSP)


5 . Kali Mirch-1 CHOTA CAMMACH(Black Pepper-1 TSP)


6 . Bhuna Jeera-1 CHOTA CAMMACH(Rost Cumin Seeds-1 TSP)


7 . Kala Namak-1 CHOTA CAMMACH(Black Salt-1 TSP)


8 . Dahi , Mayonnaise (200 GM)


9 . Nimbu -1(Lemon-1)


                                                                            Banane Ki Vidhi 

1 . Sabse Pahle Dhaniya , Hari Mirch , Pudina In Sabko Acche Dhokar Pees Lenge Grinder Ki Madad Se Ya Sil Batte Par Bilkul Barik Karke .

2 . Adha Pis Jane Ke Baad Usme Nimbu Ka Ras , Bhuna Jeera , Kali Mirch , Kala Namak Mila Denge..


3 . Ab Acchi Tarah Sab Mix Hojane Ke Baad Catni Lenge Or Usme Mayonnaise Milayege Acchi Tarah Or Aapki Green Catni Taiyar Hai Bilkul Hotel Jaise Bilkul Fast .

SPICY GREEN CATNI I MINT SAUCE I PUDINE KE CATNI I SPICY MINT SAUCE I HOME MADE MINT SAUCE I INDIAN STYLE MINT SAUCE I MINT SAUCE RECIPE IN HINDI
                                   

                             Dahi Vali Catni 


Agar Aap Mayonnaise Me Nahi Banana Caahte To Aap Isme Dahi Mila Sakte Hai Dahi Se Bhi Bilkul Bazaar Jaise He Green Catni Taiyar Hojayegi .....



SPICY GREEN CATNI I MINT SAUCE I PUDINE KE CATNI I SPICY MINT SAUCE I HOME MADE MINT SAUCE I INDIAN STYLE MINT SAUCE I MINT SAUCE RECIPE IN HINDI

To Bataiye Hogai Na Aapki Instant Hotel Jaise Spicy Green Sauce Taiyaar Jise Aap Kise Bhi Ceej Se Kha Sakte Hai Jab Caahe Fatafat Banakar Jiske Leye Aapko Kise Ka Wait Nahi Karna Padega Caliye Thank You Agli Baar Milte Hai Fir New Recipe Ke Saath .......Thank You

EASY VEG. CHEESE SPRING ROLL I VEG CHEESE ROLL RECIPE I CHEESE ROLL RECIPE IN HINDI I SPRING ROLL RECIPE IN HINDI RECIPE OF SPRING ROLL

Hello Dosto Kaise Ho Aap Asha Karta Hoon Sab Acche He Honge Or Aapke Sath Se Ham Bhi Acche Hai ,, To Ab Baat Karte Hai Aaj Ke Recipe Ke Bare Me . Boht Log Hai Jinhe Spring Roll Khane Ka Boht Shok Hota Hai Or Cahte Hai Ghar Par Vaise He Spring Roll Banana Lekin Bana Nahi Pate Videos Dekhte Hai Fir Bhi Nahi Bana Pate Kyonki Vaisa Better Taiyar Nahi Hota Kosish Karne Par Bhi Or Fir Vo Nirash Hokar Thak Kar Baith He Jate Hai Or Chod dete Hai Spring Roll Kaise Banta Kai Kaise Nahi Bazaar Par He Nirbhar Rehte hai ..To Aaj Aapko Mai Bataunga Boht He Asaan Spring Roll Banane Ka Tarika Vo Bhi Boht He Tasty Bazaar Se Bhi Boht Jyada Yakeen Maniye Bilkul Aisa He Hoga Mere Is Recipe Me Vo Bhi Bina Aapke Koi Video Dekhkar Sikhe Bina ..To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ke Recipe - EASY VEG. CHEESE SPRING ROLL



                                                                                              INGREDIANTS 




1 . Maida-1 CUP(ALL PURPOSE FLOUR-1 CUP)

2 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt-AS PER TASTE)


3 . TEL(OIL FOR FRYING)


4 . Bandgobhi-1/2 CUP(Cabbage-1/2 CUP)


5 . Pyaj-1(Onion-1)


6 . Shimla Mirch-1(Capsicum-1)


7 . Soya Sauce-1 BADA CAMMACH(1 TBS)


8 . Ajino Moto-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


9 . LAL MIRCH PASTE-1 BADA CAMMACH(Red Chili Paste-1 TBS)


10 . Cheese-100 GM


11 . Spring Onion-2 BADE CAMMACH


12 . Kali Mirch Powder-1/2 CHOTA CAMMACH(Black Pepper Powder-1/2 TSP)


13 . Adrak-1/2 CHOTA CAMMACH(Ginger-1/2 TSP)


14 . lehsun1/2 CHOTA CAMMACH(Garlic-1/2 TSP)


15 . Sirka-1/2 CHOTA CAMMACH(Vinegar-1/2 TSP)


16 . Tomato Sauce-1 BADA CAMMACH(1 TBS)


17 . Sugar-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)




                          Banane Ki Vidhi


1 .  Pahle Ham Maida Lenge Uske Andar Namak , Thoda Oil Milayenge...

2 . Acche Se Milane ke Baad Usme Fir Pani Dalenge Or Acche Se Gundhenge Bilkul Roti Ke Aate Ke Tarah ..


3 . Acche Se Gundhne Ke Baad Usko 20 Se 30 Minute Ke Leye Side Rakhdenge Kise Bartan Me Dalkar Halka Sa Oil Lagakar Sab Jagah Acche Se Or Dhakkar ..




                  Filling Banane Ki Vidhi 


1 . Pahle Ham Sabhi Sabjiyo Ko Acche Se Dhokar Pani Me Unko Patla Patla Or Lamba Lamba Kaat Lenge Jaise Ke Aapki Pyaj , Shimla Mirch , Bandgobhi ..

2 . Ab Kadhai Lenge Usme Oil Dal kar Barik Kata Adrak , Lassan Halka Halka Sa Fry Karke Karb Bus 10 Second He Fir Uske Baad Sari Sabji Ko Ek Ek Karke Dalenge Pyaj , Shimla Mirch , Bandgobhi Sab Or Halka Fry Karenge ..


3 . Halka Sa Bhunne Ke Baad Fir Usme Red Chili Paste , Halka Sirka , Namak , Kali Mirch Powder , Tomato Sauce , Sugar , Soya Sauce Sab Milakar Acche Se Thodi Der Pakalenge , Par Jyada nahi Pakayenge Na He Isme Jyada Pani Use Karenge Bilkul Sukhe Gravy He Rakhenge .




                               Full Spring Roll Banane Ki Vidhe  



1 . Ab Ghundhe Hue Maide Ko Lenge Thoda Or Roti Ke Tarah Belenge Pudi Jitna Bada Lekin Bilkul Patla Rumali Roti Jitna Patla . 

2 . 1 Belne Ke Baad Dusra Belenge . Fir Pahle Vala Lenge Or Upar Se Uske Halka Maida Lagayenge Or Dusra Maida Ka Bela Hua Tookda Uspar Rakhenge Or Dono Ko Acche Se Bellenge ..


3 . Ab Dono Ko Acche Se Ek Saath Pura Roti Se Thoda Bada Bellenge Or Rumali Roti Jitna Patla ..


4 . Or Fir Aise He Saare Ek Ek Karke Bel Kar Rakhlenge . 


5 . Uske Baad Tave Par Halka Halka Sek Lenge Dono Side Se Or Saath He Aap Dekhenge Ke Sikne Ke Saath Saath Jo Aapne 2 Maida Ke Roti Ko Ek Saath Jod Kar Bela Tha Ab Vo Sikne Ke Sath Sath Alag Hone Lage Hai To Inko Aise He Alag Karlenge Ek Dusre Se ..


6 . Or Fir Alag Karne Ke Baad Isme Filling Ko Acche Se Bharlenge Jo Aapne Sabji Ki Banai Hai Sath He Isme Ab Cheese Bhi Dalenge..


7 . Filling Bharne Ke Baad Or Cheese Dalne Ke Baad He Isko Acche SE Roll Karke Isko Acche Se Band Kardenge Halka Pani Lagakar Ya Maida Ka Halka Sa Ghol Banakar Taki Fry Karte Time Isme Se Kuch Bahar Na Niklne Paaye ..


8 . Sab Filling Ko Bharne Ke Sath He Ab Kadhai Me Oil Dalenge Or Gas Ko Manda He Rakhenge  Taki Aapke Spring Roll Acche Se Or Karare Ban Sake Or Vo Bhi Bazaar Se Boht He Acche Boht He Tasty . 


9 . Oil Medium Garam Hote He Usme Apne Banaye Hue Spring Roll Dalna Shuru Karenge Or Brown Hone Tak Acche Se Fry Karenge ...


10 . Sab Acche Se Fry Hote He Fir Apne Spring Rolls Ko Acche Se Diamond Shape Me Katlenge Or Mayonnaise , Ya Apni Kise Bhi Pasandida Sauce Ke Sath Garma Garam Serve Karenge . 

EASY VEG. CHEESE SPRING ROLL I VEG CHEESE ROLL RECIPE I CHEESE ROLL RECIPE IN HINDI I SPRING ROLL RECIPE IN HINDI RECIPE OF SPRING ROLL

Cheese Combo I CHEESE OMELETTE I CHEESE OMELETTE RECIPE IN HINDI I EGG CHEESE COMBO RECIPE

Hello Dosto Kaise Hai Aap Sab Asha Karta Hoon Sab Acche Honge Aapke Sath Se Or Pyar Se Ham Bhi Acche Hai . To Aaj Ham Baat Karne Vale Hai New Recipe Ke Bare Me CHEESE COMBO Recipe Jo Bani Hai Main Ingredient Egg , Milk , Or Cheese Se To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ki Recipe ..



                                                                                                 INGREDIANTS 



1 . Mozzarella Cheese(100 GM)

2 . Doodh-1/2 CHOTA CUP(Milk-1/2 SMALL CUP)


3 . Bread-4(White , Brown , Multigrain-4 SLIC3)


4 . Red Chili Flakes-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


5 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt AS PER TASTE)


6 . Hara Dhaniya-1 BADA CAMMACH(Green Coriander-1 TBS)


7 . Kali Mirch Powder-/1/2 CHOTA CAMMACH(Black Pepper Powder-1/2 TSP)


8 . Italian Seasoning-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


9 . Hari Mirch-2(Fresh Green Chili-2)


10 . Pyaj-1 CHOTI(Onion-1 SMALL)


11 . Shimla Mirch-1 CHOTI(Capsicum-1 SMALL)


12 . Anda-3(Egg-3)


13 . Makkhan-100 GM(Butter-100GM)




                                                                                                Banane Ki Vidhi


1 . Pahle Ek Bowl Me Ande Lenge Usme Namak , Thoda Doodh , Hari Mirch , Red Chili Flakes , Hara Dhaniya , Thodi Barik Kati Pyaj , Barik Kati Shimla Mirch , Kali Mirch Powder ,Or Bilkul Thoda Cheese..

2 . Sab Ek Sath Dalkar Acche Se Milayenge Taki Sab Ek Sath Acche Se Mil Jaye ..


3 . Sab Acche Se Milte He , Ek Fry Pan Lenge Usko Halka Garam Hote He Uspar Makkhan Lagayenge Or Ye Sara Mixture Us Par Dalenge .


4 . Ek Taraf Se Pakte He Fir Palat Kar Pakayenge Or Is Par Upar Cheese , Pyaj , Hari Mirch , Red Chili Flakes , Shimla Mirch , Italian Seasoning , Dalkar Upar Se Bread Se Acche Se Dhakdenge Taki Bread Acche Se Cipak Jaaye .


5 . Ab Jo Bread Lagai Hai Uske Upar Butter Lagayenge Acche Se Or Palat Denge Fir ..


6 . Palatne Ke Baad Yaha Ande Par Bhi Same Pahle Ke Tarah Cheese , Pyaj , Red Chili Flakes , Shimla Mirch , Halka Namak , Kali Mirch Powder , Italian Seasoning Dalkar Acche Se Bread Ko Se Sil Kardenge .


7 . Bread Se Acche sSe Sil karne Ke Bad Isme Upar Se Butter Lagayenge Pyaj Dalenge , Shimla Mirch , Hari Mirch , Hara Dhaniya , Italian Seasoning Or Khub Sara Cheese Dalkar Isko 1 Minute Ke Leye Oven Me Rakhenge Jisse Ki Cheese Par Accha Sa Brown Color Aaye Jo Dikhne Me To Accha Lagega He Aapko Or Khane Me Bhi Lajavab Hoga ........


Cheese Combo I CHEESE OMELETTE I CHEESE OMELETTE RECIPE IN HINDI I EGG CHEESE COMBO RECIPE

To Bataiye Bread Omelette Ke Saath Saath Mini Pizza Ke Combo Me Aapko Kitna Maja Aaya .....Thank You

Thursday, August 29, 2019

GULABI SITAFAL DISH I PUMPKIN HALWA DISH I SITAFAL KA HALWA RECIPE IN HINDI I PUMPKIN SWEET DISH IN HINDI

Hello Dosto Kaise Hai Aap Aasha Karta Hoon Acche He Honge Aapke Pyar Or Saath Se Ham Bhi Acche Hai .. To Dosto Aaj Laaye Hai Ham Aapke Leye Kuch Sweet Or Badiya Recipe ..Kyonki Sabka Man Karta Hai Raat Me Khane Ke Baad Ya Din Me Khane Ke Baad Kuch Meetha Hojaye To Asani Se Banne Vale Kuch Asan Sweet Recipe Laaye Hai Ham Aapke Leye Please Dhyan Se Padiyega Or Fir Khud Banakar Try Kijiyega Asaha Karta Hoon Mere Se Bhi Acche Aap Ye Recipe Banaye..Caliye Shuru Karte Hai Recipe .


                                                                       Ingredients 


1 . Sitafal-500 GM(Pumpkin-500 GM)

2 . Gulab Ki Patti-100 GM(Fresh Rose Petals-100 GM)


3 . Doodh-500 GM(Milk-500GM)


4 . CHEENI-200 GM(Sugar-200 GM)


5 . Badam-10(Almond-10)


6 . Kaju-10(Cashew Nuts-10)


7 . Gulab Jal-2 BADE CAMMCH(Rose Water-2 TBS)


8 . Khoya-200 GM(Mawa-200GM)


9 . White Chocolate-200 GM


10 . Ilaichi-1 BADE CAMMACH(Green Cardamom-1 TBS)


11 . Dal Chini Powder-1/2 CHOTA CAMMACH( Cinnamon Powder-1/2 TSP)




                                                                                      Banane Ki Vidhi 


1 . Pahle Sitafal Ko Cheel kar Uske Beej Vagerah Nikal Kar Acche Se Ghislenge Jaise Gajar Ka Halwa Banane Ke Leye Gajar Ko Ghiste Hai Bilkul Vaise He .

2 . Fir 1 Kadhai Lenge Usme Ye Ghisa Hua Sitafal Dalenge Or Fresh Gulab Ke Patti Or Thoda Bhunege Taki Uska Pani Thoda Jal Jaye Jisse Uska Kacca Pan Nikal Jaye Sath Me Gulab Ke Patti Ke Khushbu Bhi Usme Aajaye .


3. Uska Kacca Pan Nikalte He Usme Fir Doodh Dalenge Or Sath Me Ilaich Ko Acche Se Pees Kar Dalenge Or Doodh Or Thodi Der Chod denge .


4 . Doodh Thoda Kam Hote He Usme Sugar Bhi Daldenge Apne Taste Ke Hisab Se Or Acche Se Mix Karenge .


5 . Doodh Ke Thode Kam Hote He Usme Thoda Desi Ghee Or Khoya Bhi Dalenge Or Sath Me Sabhi Dry Fruits Bhi , kaju , Badam ,  Kishmish Or Sath Me White Choclate Bhi Thoda Sa Or Bhunte He Jaise He Doodh Lagbhag Sookh Chuka Ho Bus Gas Ko Band Karenge Or Garma Garam Upar Se Thode Or Dry Fruits Khoya Dalkar Serve Karenge . .....


GULABI SITAFAL DISH I PUMPKIN HALWA DISH I SITAFAL KA HALWA RECIPE IN HINDI I PUMPKIN SWEET DISH IN HINDI

DESI SAMOSA WITH CHINESE TWIST I SAMOSA RECIPE IN HINDI I CHINESE RECIPE I INDIA DEEP FRY DOUGH PASTRY RECIPE

Hello Dosto Kaise Ho Aap LOG , Sab Aasha Karta Hoon Sab Thik Honge , Or Aapke Pyar Or Sath Se Ham Bhi Thik Hai , To Dosto Ham Aaj Laaye Hai Aapke Leye Ek New Chinese Twist Recipe ,,,DESI SAMOSA WITH CHINESE TWIST ,,,, Is Recipe Me Aapke Leye Ek Desi Samosa Ek Alag Tarah Ke Stuffing Ke Sath Chinese Twist Diya Hai , Yakeen Maniye Aapko Banane Me Bhi Maja Aayega Or Khane Me Usse Jyada Maja Ayega Aapko .. To Caliye Shuru Karte Hai Aajki Recipe .



                                                                                                    Ingrediants


1 . Maida-1 CUP(ALL PURPOSE FLOUR-1 CUP)

2 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt AS PER TASTE) 


3 . Band Gobhi-2 BADE CAMMACH(Cabbage-2 TBS)


4 . Shimla Mirch-1(Capsicum-1)


5 . Pyaj-1(Onion-1)


6 . LAL MIRCH POWDER-1 CHOTA CAMMACH(Red Chili POWDER-1 TBS)


7 . Kali Mirch Powder-1/2 CHOTA CAMMCH(Black Pepper Powder-1/2 TSP)


8 . Ajinomoto-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


9 . Soya Sauce-1 BADA CAMMACH(1 TBS)


10 . CHEENI-1/2 CHOTA CAMMACH(Sugar-1/2 TSP)


11 . Red Chili Flakes-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


12 . TEL - TALNE KE LEYE(Oil FOR FRYING)


13 . LAL MIRCH PASTE-1 CHOTA CAMMACH(Red Chili Paste-1 TSP)


14 . Corn Starch-1 CHOTA CAMMACH(1 TSP)


15 . Hara Dhaniya-2 BADE CAMMACH(Green Coriander-2 TBS)


16 . Paneer-50 GM(Cottage Cheese)


17 . Garam Masala-1/2 CHOTA CAMMACH(INDIAN GARAM MASALA-1/2 TSP)


18 . HARI PYAJ-2 BADE CAMMACH(Spring Onion-2 TBS)

                                          

                                                              Banane Ki Vidhi



1 . Pahle Ham Maida Lenge Usme Halka Namak Or Oil Milakar Acche Se Mix Karenge Or Acche Se Mix Hote He Usme Pani Milakar Acche Se Gundhenge Bilkul Roti Ke Leye Jaise Aata Ghundhte Hai Bilkul Vaise He .

2 . Dough Taiyar Hote He Usko Halka Oil Lagakar Sab Jagah Ek Bartan Me Dhakkar Rakhdenge 15 Se 20 Minute Ke Leye .




                                               Samose Ke Filling 



1 . Ab Samose Ki Filling Ke Leye Pahle Band Gobhi , Pyaj , Shimla Mirch Or Paneer Ko Patla Or Lamba Kat Lenge .


2 . Ab Ek Kadhai Ya Koi Bhi Bartan Lenge Jisme Ye Sari Sabjiya Taiyar Ki Ja Sake.


3 . Ab Bartan Me Oil Dalkar Usme Fir Ek Ek Karke Sari Sabjiyo Ko Halka Halka Bhunenge...


4 . Halka Bhunte He Fir Usme Red Chilli Paste Thoda Milayenge , Fir Namak , Hara Dhaniya , Garam Masala Or Tomato Sauce Milakar Ek Acchi Se Filling Taiyar Karenge Tasty Se ......


5 . Filing Taiyar Hote He Tasty Se Usko Thoda Thanda Hone Denge.



                                              Banane Ki Vidhi


1 . Ab Jo Maida Ka Dough Taiyar Kiya Hai Vo Lenge Thoda Or Usko Bellenge Gol Karke Bilkul Patla Krke Bilkul Mota Nahi Bilkul Rumali Roti Jitna Patla Belna Hai .Or Roti Ke Barabar Belna Hai


2 . Ab Usko Tave Par Adha Kacca Adha Pakka Paka Lenge Or Side Rakhlenge .


3 . Ab Sabko Chota Chota Katkar Usme Filling Bharenge Jo Banai Hai Vegetables Ke Or Usko Samose Ke Shape Dekar Acche Se Pani Ke Madad Se Acche Se Band Bardenge...


4 . Sab Band Karne Ke Bad Acche Se Ab In Sabko Acche Se Dheme Aanch Me Fry Karlenge Karare Hone Tak Sunhera Hone Tak ..



                                                   Chinese Twist



1 . Ab Ek Kadhai Me Oil Dalkar Usme Sari Sabji Jo Barik Or Lambi Kati Hue Hai Unko 1 , 1 
 Karke Dalenge Or Halka Fry Karenge Jyada Nahi Sabjiya Karari He Rehni Cahiye Itna Halka Fry Karenge ..

2 . Or Fir Isme Thoda Red Chili Paste Dalenge , Namak Dalenge , Red Chili Flakes Dalenge , Ajinomoto Dalenge , Soya Sauce Dalenge , Tomato Sauce Dalenge Thodi Sugar Dalenge Or Thoda Pakayenge Or Thoda Pakayenge .


3 . Thoda Pakte He Corn Starch Ko Pani Me Milakar Is Gravy Me Halka Halka Milayenge Jisse Ye Gravy Gadi Hone Shuru Hojaye .


4 . Gravy Gadi Hote He Isme Apke Fry Samose Dalenge Or Hara Dhaniya Or Spring Onion Dalkar Garma Garam Parosenge .


Dhyan Rahe Gravy Me Samosa Tabhi Dalna Hai Jab Aapko Khana Ho Or Gravy Bhi Patli Nahi Hone Cahiye ..To Aaj He Banaiye Or Taste Kariye Aap Bhi Or Apne Ghar Me Bhi Sabko Karaiye //........Thank You ,,,,,,,,,,,,,

DESI SAMOSA WITH CHINESE TWIST I SAMOSA RECIPE IN HINDI I CHINESE RECIPE I INDIA DEEP FRY DOUGH PASTRY RECIPE

SUJI KA SHANDAR NASHTA I SEMOLINA PAN CAKE I SUJI CHILLA RECIPE IN HINDI I SUJI PARATHA RECIPE

Hello Dosto Kaise Hai Aap Asha Karta Hoon Acche He Honge Aaj Or Aapke Sath Or Pyar Se Ham Bhi Thik Hai . To Aaj Ham Bat Karne Vale Hai Aaj Ke New Dish Ke Bare Me Jo Ki Ek Snack Ke He Tarah Hai Jise Aap Kabhi Bhi Kise Bhi Time Kha Sakte Hai Or Jo Khane Bhi Boht Badiya Lagega Aapke Sath Sath Aapke Bacco Ko Bhi Or Jise Banana Bhi Boht He Asan Hai. To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ke Recipe ,,,,,SUJI KA SHANDAR NASHTA 


                                                                                                       Ingrediants


1 . Suji-1 CUP(Semolina-1 CUP)

2 . Namak- SWAD ANUSAR(Salt AS PER TASTE)


3 . Hara Dhaniya-2 BADE CAMMACH(Fresh Coriander-2 TBS)


4 . Hari Mirch-2 BADI(Green Chili-2 BIG)


5 . Pyaj-1 (Onion-1)


6 . TEL-TALNE KE LEYE(Vegetable Oil FOR FRYING)


7 . Shimla Mirch-1(Capsicum-1)


8 . Kali Mirch Powder-1/2 CHOTA CAMMACH(Black Pepper Powder-1/2 TSP)




                                                                                          Banane Ki Vidhi



1 . Suji Ko Chaan Kar Usme Namak , Kali Mirch Powder , Barik Kata Pyaj , Barik Kati Shimla Mirch , Barik Kata Hara Dhaniya , Barik Kati Hari Mirch Milakar Acche Se Uska Patla Paste Banalenge Bilkul Jaise Besan Ka Banate Hai Pakode Usse Thoda Gada Rakhnaa Hai Iska Paste.

2 . Paste Banakar Use Acchi Tarah Fetlenge Or Gas Pas Tava Ya Fry Pan Rakhenge Garam Hone Ke Leye .


3 . Tava,Ya Fry Pan Ke Garam Hote He Usme Suji Ka Bana Mixture Dalenge Or Sari Taraf Fela Denge Acche Se Or Mandi Aanch Par Acche Se Sik Jane Tak Pakne Denge .


4 . Bus Jaise He Dono Taraf Se Acche Se Sik Jaye Usko Garma Garam Nikal Kar Acche Se Katkar Parosenge Tomato Sauce Ke Sath Ya Koi Bhi Apni Man Pasandida Sauce Ke Sath .....



SUJI KA SHANDAR NASHTA I SEMOLINA PAN CAKE I SUJI CHILLA RECIPE IN HINDI I SUJI PARATHA RECIPE

Wednesday, August 28, 2019

HOME MADE GARLIC NAAN I INDIAN STYLE GARLIC BREAD I GARLIC NAAN RECIPE IN HINDI I HOW TO MAKE HOME MADE GARLIC NAAN

Hello Dosto Kaise Hai Aap Aasha Karta Hoon Acche He Honge Or Aap Logo Ke Sath Or Pyar Se Ham Bhi Acche Hai . To Aaj Ham Batane Ja Rahe Hai Aapko BUTTERY HOME MADE MULTILAYERED GARLIC NAAN  Ji Vo Bhi Bilkul Asan Jaise Ghar Par Aap Roti Banate Hai Bus Sab Vaise He Hai Bus Thoda Sa Change Hai To Vo Kya Change Hai Shuru Karte Hai Recipe Or Batate Hai Aapko Kaise Karni Hai Iske Taiyari Or Kaise Taiyar Karna Hai Vo Bi Bilkul Bazaar Jaise Naan Jaisa Apne Ghar Me. Caliye Shuru Karte Hai Recipe .

                                                                                                                          Ingredients



1 . Gehu Ka Aata-1 CUP(Wheat Flour-1 CUP)

2 . Maida-1 CUP(White Flour)

3 . Makkhan-2 BADE CAMMACH(Butter-2 TBS)

4 . Lassan1 BADA CAMMACH(Garlic-1 TBS)

5 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt AS PER TASTE)

6 . TEL - 2 BADE CAMMACH(OIL-2 TBS)



                                      Banane Ki Vidhi



1 . Pahle Aata Or Maida Lenge Usme Swad Anusar Namak Dalkar Or Thoda Oil Dalkar Acche Se Mix Karenge.

2 . Mix Hone Par Isme Pani Dalkar Acche Se Gundhenge Jaise Roti Banane Ke Leye Aata Gundhte Hai Vaise He .

3 . Aata Ghundhte He Usme Upar Se Halka Oil Lagakar Karib 30 Minute Rest Karne Ke Leye Chod Denge .

4 . Jab Tak Aapka Aata Rest Karraha Hai Tab Tak Aap Lassan (Garlic) Ko Chota Chota Kat Kar Makkhan (Butter) Me Halka Brown Hone Tak Bhun Lenge . 

5 . Ab Aata Lekar 1 Roti Ka Usko Gol Belenge .

6 . Pura Gol Belte He Ab Knife Ke Madad Se Bilkul Thode Thode Gap Me Bilkul Sidha Sidha Katenge Shuru Se End Tak .

7 . Ab Is Par Butter Or Garlic Jo Aapne Bhuna Hai Usko Thoda Thoda Lagayenge Or Fir Puri Roti ko Jo Aapne Kati Hai Thodi Thodi Doori Par Usko Roll Karnge Pui .

8 . Roll Karke Vapas Roti Ke Shaope Me Lekin Roti Se Thoda Chota Belenge .

9 . Ab Kadhai Ko Lenge Or Uske Andar Roti Jo Aapne Beli Hai Usko Andar Acche Se Chipka Kar Roti Ke Taraf Se Gas Par Rakhenge Or Gas Ko Low Rakhkar Acche Se Sekenge Naan Ke Tarah.

10 . Jaise He Hate Roti Kadhai Se Vaise He Usko Acche Se Fir Gas Par Sekenge Or Saath He Aap Dekhenge Ke Boht Sari Layer Usme Aagai Hai .

11 . Acche Se Layer Aane Par Ek Baar Acche Se Gas Par Sekenge Or Fir Garma Garam Butter Lagakar Sabji Ke Sath Serve Karenge .

Or Dhyan Rahe Jyada Mota Nahi Rakhenge Naan Patla He Rakhenge Taki Acche Se Sik Sake Or Acche Se Pake Jisse Ki Khane Me Kacca Kacca Sa Mehsoos Na Ho Aapko ....Thank You

HOME MADE GARLIC NAAN I INDIAN STYLE GARLIC BREAD I GARLIC NAAN RECIPE IN HINDI I HOW TO MAKE HOME MADE GARLIC NAAN

Pizza 2 Minute Me I INSTANT PIZZA SLICE I BREAD PIZZA RECIPE I INSTANT PIZZA RECIPE I INSTANT PIZZA RECIPE IN HINDI I RECIPE OF BREAD PIZZA

Hello Dosto Kaise Ho Aap Sab LOG Asha , Karta Hoon Sab Acche Honge , Or Aap logo Ke Pyar Se Or Aap Ke Sath Se Ham Bhi Acche Hai , Aasha Karta Hoon Aap Aise He Hamesha Hamara Sath Nibhate Rahenge , To Caliye Baat Karte Hai Aaj Ke Ek Snack Recipe Ke Baare Me Jo Bilkul Asan Or Jhatpat Banne Vali Hai , Yani Sirf 2 Minute Me , Ji Ha Sahi Suna 2 Minute Me Jo Bado Ke Sath Sath Bacco Ko To Boht He Pasand Ayega , Or Vo Khate Nahi Thakenge Ji Ha Caliye Shuru Karte Hai Fir Aaj Ke Recipe Jhat Pat .....


                                                Ingrediants


1 . White Bread-4 SLICE

2 . Pasta Sauce-1 BADI CAMMACH(1 TBS)


3 . Makkhan-1 BADA CAMMACH(Butter-1 TBS)


4 . Chili Flake-1/2 CHOTA CAMMCH(1/2 TSP)


5 . Italian Seasoning-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


6 . Shimla Mirch-1(Capsicum-1)


7 . Pyaj-1(Onion-1)


8 . Mozzarella Cheese-200 GM



                                                                                                    Banane Ki Vidhi


1 . Sabse Pahle Bread Ke Slice Lenge Or Uspar Butter Lagayenge.

2 . Usko Gas Par Tave Par Bilkul Mandi Aanch Me Rakhenge Jis Side Butter Lagaya Hai Us Side Se .


3 . Dusri Taraf Ab Aap Pizza Sauce Lagayenge Or Upar Se Sab Shimla Mirch , Pyaj , Chote Chote Kate Hue Or Sabhi Masale Dalenge.


4 . Ab Upar Se Khub Sara Cheese Dalenge Or 1 Minute Tak Mandi Aanch Par Bread Ko Sekenge.


5 . 1 Minute Hote He Bread Ko Tave Se Hatakar Oven Me 1 Minute Ke Leye Rakhenge Acche Se Color Lane Ke Leye Brown Cheese Par.


6 . 1 Minute Pure Hote He Oven Se Nikalenge Or Garma Garam Serve Karenge...


Agar Apke Paas Oven Nahi Hai To Aap Tave Par He Bread Slice Par Cheese Vagerah Dalkar Usko Dhakenge Or Aapka Pizza 2 Minute Me Acche Se Taiyar Hojayega ....





To Bataiye Haina Asan Jhat Pat 2 Minute Me Taiyar Aapka Pizza To Wait Mat Kariye Jaldi Se Banaiye Or Khud Bhi Khaiye Or Bacco Ko Bhi Khilaiye  .....Thank You



Fast Paneer Recipe Hotel Jaise I INSTANT PANEER RECIPE I INDIAN PANEER RECIPE IN HINDI I RECIPE OF INDIAN STYLE CHEESE GRAVY RECIPE

Hello Dosto Kaise Ho Aap Sabhi Aaj Ham Aapko Batane Vale Hai 1 New Paneer Recipe Ke Bare Me Jo Boht He Asaan Or Bilkul Hotel Jaise Hai Banne Me Jise Aap Banayenge Khayenge To Khate Reh Jayenge Or Jinko Bhi Aap Log Khilayenge To Vo Log Aapki Tarif Karte Nahi Thakenge To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ki Recipe To Caliye Shuru Karte Hai.....



                                                                          Ingredients


1 . Paneer-500 GM(Cottage Chees-500 GM)

2 . Cream-200 GM


3 . Lal Mirch Powder-1 BADA CAMMACH(Red Chili Powder-1 TBS)


4 . Hari Mirch-3 SE 4(Green Chili-3 TO 4)


5 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt AS PER TASTE)


6 . Dhaniya Powder-1 CHOTA CAMMACH(Coriander Powder-1 TSP)


7 . Haldi-1 CHOTI CAMMACH(Turmeric-1 TSP)


8 . Vegetable Oil-200 GM(OIL-200 GM)


9 . Makkhan-200 GM(Butter-200 GM)


10 . Shimla Mirch-3 BADI(Capsicum-3 BIG)


11 . Hara Dhaniya-4 BADE CAMMCH(FRECH Coriander-4 TBS)


12 . Adrak-1 CHOTA CAMMACH(Ginger-1 TSP)


13 . Sukhe Masale MIX-1 BADE CAMMACH(long , javetri , jeera , Dal Chini , Badi Elaichi , Hari Elaichi , Tej Patta)(CLOVE , MACE , CUMIN , CINNAMON , BLACK CARDAMOM , GREEN CARDAMOM , BAY LEAF - MIX 1 TBS)


15 . Pyaj-5 BADE(Onion - 5 BIG)


16 . Tamatar-3 BADE(Tomato-3 BIG)


17 . Kaju-10(Cashew Nuts-10)


18 . Adrak Lassan Ka Paste- 2 BADE CAMMACH(GINGER GARLIC PASTE -2 TBS)




                                            Banane Ki Vidhi


Aaj Ham Aapko Bilkul Asan Or Jaldi Banne Vali Vidhi Batane Vale Hai Jisse Aap Boht Jaldi Or Boht Tasty Sabji Taiyar Karlenge ..

1 . Paneer Ko Apne Hisab Se Katkar Uspar Halka Namak Mirch Lagakar Side Rakhde...


2 . Ab 1 Kadhai Ya 1 Koi Bartan Le Jisme Apko Sabji Banani Hai Usme Pahle Thoda Oil Dalkar Paneer Ko Halka Fry Karle .


3 .  Sari Sabji Ko Thode Bade Tookdo Me Katkar Lagbhag Paneer Ke Barabar . 


4 . Ab Bartan Me Jisme Aapko Sabji Banai Hai Usme Ab Pyaj , Tamatar , Kaju , Namak , Mirch Adrak Lassan Paste Or Sukhe Masale Sabko Ek Sath Dalkar Thoda Acche Se Bhunle .


5 . Ab Is Sare Mixture Ko Ek Bartan Me Nikalkar Thoda Thanda Karke Isko Pees le Jo ki Piste He Aapko Bazaar Ki Sabji Jaisa Orange Color Me Dikhne Lagega.


6 . Ab Kadhai Le Usme Osme Oil Dalkar , Shimla Mirch Ko Jo Bade Tukdo Me kat Rakhi Hai Usko Fry Karle Or Sath Me Pyaj Bhi Bade Tukdo Me Kati Hue ...


7 . Ab Ek Bartan Me Butter Dale Or Sath Me Oil Bhi Thoda Garam Kare.


8 . Garam Hote He Adrak Lassan Ka Paste Dale Thoda Bhune or Bhunte He Isme Jo Apne Paste Banaya Hai Usko Chankar Bartan Me Milade Oil Or Adrak Lassan Ke Sath Or Isme Agar Namak Mirch Ya Koi Bhi Masala Kam Hai Usko Bhi Cakhkar Apne Hisab Se Milade Or Sath Me Fry kiye Hue Shimla Mirch Or Pyaj Or Paneer Bhi Milade.


9 . Ab Isko Halki Aanch Me Pakne De Thodi Der Jab Tak Sabji Ka Oil Sabji Ke Upar Na Dikhai De .


10 . Jaise He Sabji Ka Oil Upar Aajye Tabhi Gas Ke Aanch Bilkul Mandi Karde Or Usme Cream , Milade .


11 . Gas Ko Band Karke Sabji Ko Bartan Me Nikale Or Usme Kati Hue Lambi Patli Adrak Dale Sath Me Kata Hara Dhaniya , Or Thodi Cream Or Garma Garam Naan , Ya Roti Ya Rice Ke Sath Serve Kare ...... Thank You


Fast Paneer Recipe Hotel Jaise I INSTANT PANEER RECIPE I INDIAN PANEER RECIPE IN HINDI I RECIPE OF INDIAN STYLE CHEESE GRAVY RECIPE