Email Subscription

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Email Subscriptions

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Friday, August 30, 2019

EASY VEG. CHEESE SPRING ROLL I VEG CHEESE ROLL RECIPE I CHEESE ROLL RECIPE IN HINDI I SPRING ROLL RECIPE IN HINDI RECIPE OF SPRING ROLL

Hello Dosto Kaise Ho Aap Asha Karta Hoon Sab Acche He Honge Or Aapke Sath Se Ham Bhi Acche Hai ,, To Ab Baat Karte Hai Aaj Ke Recipe Ke Bare Me . Boht Log Hai Jinhe Spring Roll Khane Ka Boht Shok Hota Hai Or Cahte Hai Ghar Par Vaise He Spring Roll Banana Lekin Bana Nahi Pate Videos Dekhte Hai Fir Bhi Nahi Bana Pate Kyonki Vaisa Better Taiyar Nahi Hota Kosish Karne Par Bhi Or Fir Vo Nirash Hokar Thak Kar Baith He Jate Hai Or Chod dete Hai Spring Roll Kaise Banta Kai Kaise Nahi Bazaar Par He Nirbhar Rehte hai ..To Aaj Aapko Mai Bataunga Boht He Asaan Spring Roll Banane Ka Tarika Vo Bhi Boht He Tasty Bazaar Se Bhi Boht Jyada Yakeen Maniye Bilkul Aisa He Hoga Mere Is Recipe Me Vo Bhi Bina Aapke Koi Video Dekhkar Sikhe Bina ..To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ke Recipe - EASY VEG. CHEESE SPRING ROLL



                                                                                              INGREDIANTS 




1 . Maida-1 CUP(ALL PURPOSE FLOUR-1 CUP)

2 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt-AS PER TASTE)


3 . TEL(OIL FOR FRYING)


4 . Bandgobhi-1/2 CUP(Cabbage-1/2 CUP)


5 . Pyaj-1(Onion-1)


6 . Shimla Mirch-1(Capsicum-1)


7 . Soya Sauce-1 BADA CAMMACH(1 TBS)


8 . Ajino Moto-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)


9 . LAL MIRCH PASTE-1 BADA CAMMACH(Red Chili Paste-1 TBS)


10 . Cheese-100 GM


11 . Spring Onion-2 BADE CAMMACH


12 . Kali Mirch Powder-1/2 CHOTA CAMMACH(Black Pepper Powder-1/2 TSP)


13 . Adrak-1/2 CHOTA CAMMACH(Ginger-1/2 TSP)


14 . lehsun1/2 CHOTA CAMMACH(Garlic-1/2 TSP)


15 . Sirka-1/2 CHOTA CAMMACH(Vinegar-1/2 TSP)


16 . Tomato Sauce-1 BADA CAMMACH(1 TBS)


17 . Sugar-1/2 CHOTA CAMMACH(1/2 TSP)




                          Banane Ki Vidhi


1 .  Pahle Ham Maida Lenge Uske Andar Namak , Thoda Oil Milayenge...

2 . Acche Se Milane ke Baad Usme Fir Pani Dalenge Or Acche Se Gundhenge Bilkul Roti Ke Aate Ke Tarah ..


3 . Acche Se Gundhne Ke Baad Usko 20 Se 30 Minute Ke Leye Side Rakhdenge Kise Bartan Me Dalkar Halka Sa Oil Lagakar Sab Jagah Acche Se Or Dhakkar ..




                  Filling Banane Ki Vidhi 


1 . Pahle Ham Sabhi Sabjiyo Ko Acche Se Dhokar Pani Me Unko Patla Patla Or Lamba Lamba Kaat Lenge Jaise Ke Aapki Pyaj , Shimla Mirch , Bandgobhi ..

2 . Ab Kadhai Lenge Usme Oil Dal kar Barik Kata Adrak , Lassan Halka Halka Sa Fry Karke Karb Bus 10 Second He Fir Uske Baad Sari Sabji Ko Ek Ek Karke Dalenge Pyaj , Shimla Mirch , Bandgobhi Sab Or Halka Fry Karenge ..


3 . Halka Sa Bhunne Ke Baad Fir Usme Red Chili Paste , Halka Sirka , Namak , Kali Mirch Powder , Tomato Sauce , Sugar , Soya Sauce Sab Milakar Acche Se Thodi Der Pakalenge , Par Jyada nahi Pakayenge Na He Isme Jyada Pani Use Karenge Bilkul Sukhe Gravy He Rakhenge .




                               Full Spring Roll Banane Ki Vidhe  



1 . Ab Ghundhe Hue Maide Ko Lenge Thoda Or Roti Ke Tarah Belenge Pudi Jitna Bada Lekin Bilkul Patla Rumali Roti Jitna Patla . 

2 . 1 Belne Ke Baad Dusra Belenge . Fir Pahle Vala Lenge Or Upar Se Uske Halka Maida Lagayenge Or Dusra Maida Ka Bela Hua Tookda Uspar Rakhenge Or Dono Ko Acche Se Bellenge ..


3 . Ab Dono Ko Acche Se Ek Saath Pura Roti Se Thoda Bada Bellenge Or Rumali Roti Jitna Patla ..


4 . Or Fir Aise He Saare Ek Ek Karke Bel Kar Rakhlenge . 


5 . Uske Baad Tave Par Halka Halka Sek Lenge Dono Side Se Or Saath He Aap Dekhenge Ke Sikne Ke Saath Saath Jo Aapne 2 Maida Ke Roti Ko Ek Saath Jod Kar Bela Tha Ab Vo Sikne Ke Sath Sath Alag Hone Lage Hai To Inko Aise He Alag Karlenge Ek Dusre Se ..


6 . Or Fir Alag Karne Ke Baad Isme Filling Ko Acche Se Bharlenge Jo Aapne Sabji Ki Banai Hai Sath He Isme Ab Cheese Bhi Dalenge..


7 . Filling Bharne Ke Baad Or Cheese Dalne Ke Baad He Isko Acche SE Roll Karke Isko Acche Se Band Kardenge Halka Pani Lagakar Ya Maida Ka Halka Sa Ghol Banakar Taki Fry Karte Time Isme Se Kuch Bahar Na Niklne Paaye ..


8 . Sab Filling Ko Bharne Ke Sath He Ab Kadhai Me Oil Dalenge Or Gas Ko Manda He Rakhenge  Taki Aapke Spring Roll Acche Se Or Karare Ban Sake Or Vo Bhi Bazaar Se Boht He Acche Boht He Tasty . 


9 . Oil Medium Garam Hote He Usme Apne Banaye Hue Spring Roll Dalna Shuru Karenge Or Brown Hone Tak Acche Se Fry Karenge ...


10 . Sab Acche Se Fry Hote He Fir Apne Spring Rolls Ko Acche Se Diamond Shape Me Katlenge Or Mayonnaise , Ya Apni Kise Bhi Pasandida Sauce Ke Sath Garma Garam Serve Karenge . 

EASY VEG. CHEESE SPRING ROLL I VEG CHEESE ROLL RECIPE I CHEESE ROLL RECIPE IN HINDI I SPRING ROLL RECIPE IN HINDI RECIPE OF SPRING ROLL

0 comments:

Post a Comment

Please Do Not Enter Any Spam Link In The Comment Box .