Email Subscription

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Email Subscriptions

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Wednesday, August 28, 2019

Fast Paneer Recipe Hotel Jaise I INSTANT PANEER RECIPE I INDIAN PANEER RECIPE IN HINDI I RECIPE OF INDIAN STYLE CHEESE GRAVY RECIPE

Hello Dosto Kaise Ho Aap Sabhi Aaj Ham Aapko Batane Vale Hai 1 New Paneer Recipe Ke Bare Me Jo Boht He Asaan Or Bilkul Hotel Jaise Hai Banne Me Jise Aap Banayenge Khayenge To Khate Reh Jayenge Or Jinko Bhi Aap Log Khilayenge To Vo Log Aapki Tarif Karte Nahi Thakenge To Caliye Shuru Karte Hai Aaj Ki Recipe To Caliye Shuru Karte Hai.....



                                                                          Ingredients


1 . Paneer-500 GM(Cottage Chees-500 GM)

2 . Cream-200 GM


3 . Lal Mirch Powder-1 BADA CAMMACH(Red Chili Powder-1 TBS)


4 . Hari Mirch-3 SE 4(Green Chili-3 TO 4)


5 . Namak-SWAD ANUSAR(Salt AS PER TASTE)


6 . Dhaniya Powder-1 CHOTA CAMMACH(Coriander Powder-1 TSP)


7 . Haldi-1 CHOTI CAMMACH(Turmeric-1 TSP)


8 . Vegetable Oil-200 GM(OIL-200 GM)


9 . Makkhan-200 GM(Butter-200 GM)


10 . Shimla Mirch-3 BADI(Capsicum-3 BIG)


11 . Hara Dhaniya-4 BADE CAMMCH(FRECH Coriander-4 TBS)


12 . Adrak-1 CHOTA CAMMACH(Ginger-1 TSP)


13 . Sukhe Masale MIX-1 BADE CAMMACH(long , javetri , jeera , Dal Chini , Badi Elaichi , Hari Elaichi , Tej Patta)(CLOVE , MACE , CUMIN , CINNAMON , BLACK CARDAMOM , GREEN CARDAMOM , BAY LEAF - MIX 1 TBS)


15 . Pyaj-5 BADE(Onion - 5 BIG)


16 . Tamatar-3 BADE(Tomato-3 BIG)


17 . Kaju-10(Cashew Nuts-10)


18 . Adrak Lassan Ka Paste- 2 BADE CAMMACH(GINGER GARLIC PASTE -2 TBS)




                                            Banane Ki Vidhi


Aaj Ham Aapko Bilkul Asan Or Jaldi Banne Vali Vidhi Batane Vale Hai Jisse Aap Boht Jaldi Or Boht Tasty Sabji Taiyar Karlenge ..

1 . Paneer Ko Apne Hisab Se Katkar Uspar Halka Namak Mirch Lagakar Side Rakhde...


2 . Ab 1 Kadhai Ya 1 Koi Bartan Le Jisme Apko Sabji Banani Hai Usme Pahle Thoda Oil Dalkar Paneer Ko Halka Fry Karle .


3 .  Sari Sabji Ko Thode Bade Tookdo Me Katkar Lagbhag Paneer Ke Barabar . 


4 . Ab Bartan Me Jisme Aapko Sabji Banai Hai Usme Ab Pyaj , Tamatar , Kaju , Namak , Mirch Adrak Lassan Paste Or Sukhe Masale Sabko Ek Sath Dalkar Thoda Acche Se Bhunle .


5 . Ab Is Sare Mixture Ko Ek Bartan Me Nikalkar Thoda Thanda Karke Isko Pees le Jo ki Piste He Aapko Bazaar Ki Sabji Jaisa Orange Color Me Dikhne Lagega.


6 . Ab Kadhai Le Usme Osme Oil Dalkar , Shimla Mirch Ko Jo Bade Tukdo Me kat Rakhi Hai Usko Fry Karle Or Sath Me Pyaj Bhi Bade Tukdo Me Kati Hue ...


7 . Ab Ek Bartan Me Butter Dale Or Sath Me Oil Bhi Thoda Garam Kare.


8 . Garam Hote He Adrak Lassan Ka Paste Dale Thoda Bhune or Bhunte He Isme Jo Apne Paste Banaya Hai Usko Chankar Bartan Me Milade Oil Or Adrak Lassan Ke Sath Or Isme Agar Namak Mirch Ya Koi Bhi Masala Kam Hai Usko Bhi Cakhkar Apne Hisab Se Milade Or Sath Me Fry kiye Hue Shimla Mirch Or Pyaj Or Paneer Bhi Milade.


9 . Ab Isko Halki Aanch Me Pakne De Thodi Der Jab Tak Sabji Ka Oil Sabji Ke Upar Na Dikhai De .


10 . Jaise He Sabji Ka Oil Upar Aajye Tabhi Gas Ke Aanch Bilkul Mandi Karde Or Usme Cream , Milade .


11 . Gas Ko Band Karke Sabji Ko Bartan Me Nikale Or Usme Kati Hue Lambi Patli Adrak Dale Sath Me Kata Hara Dhaniya , Or Thodi Cream Or Garma Garam Naan , Ya Roti Ya Rice Ke Sath Serve Kare ...... Thank You


Fast Paneer Recipe Hotel Jaise I INSTANT PANEER RECIPE I INDIAN PANEER RECIPE IN HINDI I RECIPE OF INDIAN STYLE CHEESE GRAVY RECIPE

0 comments:

Post a Comment

Please Do Not Enter Any Spam Link In The Comment Box .