Email Subscription

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Email Subscriptions

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Wednesday, August 28, 2019

Paneer Tikka Makkhan Vala I PUNJABI PANEER TIKKA I INDIAN PANEER TIKKA I INDIAN STYLE PANEER TIKKA I HOME MADE PANEER TIKKA RECIPE IN HINDI I HOW TO MAKE PANEER TIKKA

HELLO DOSTO KAISE HAI AAP LOG , AASHA KARTA HOON SAB ACCHE HE HONGE , OR AAP LOGO KE SAATH SE HAM BHI ACCHE HAI , AAJ HAM AAPKO INDIAN PANEER TIKKA KE RECIPE KE BAARE ME BATANE JA RAHE HAI , JO KI KHANE ME BOHT HE TASTY HAI , TO CALIYE BILKUL ASANI SE BATATE HAI KAISE TAIYAR KARNI HAI AAPKO YE RECIPE .....
Paneer Tikka Makkhan Vala I PUNJABI PANEER TIKKA I INDIAN PANEER TIKKA I INDIAN STYLE PANEER TIKKA I HOME MADE PANEER TIKKA RECIPE IN HINDI I HOW TO MAKE PANEER TIKKA

                                                                                    Ingredients


1 . Paneer-200 GM(Cottage Cheese-200 GM)

2 .  Dahi Pani nikla hua-100 GM(Curd-100 GM)


3 .  Kashmiri Lal Mirch-1 CHOTA CAMMACH(Kashmiri Red Chili Powde-1 TSP)


4 .  Makkhan-100 GM(Butter-100 GM)


5 .  Sarso ka tail-50 GM(Mustard Oil-50 GM)


6 .  Namak-SWAD ANUSAR(Salt-AS PER TASTE)


7 .  Sukha Dhaniya-1/2 CHOTA CAMMACH(Dry Coriander Seeds-1/2 TSP)


8 .  Food Color Orange A PINCH


9 .  Nimbu-1(Lemon-1)


10 .  Garam Masala-1/2 CHOTA CAMMACH(INDIAN GARAM MASALA SPICE-1/2 TSP)


11 .  Hari PUDINE KI Catni-2 BADI CAMMACH(Green MINT Spicy Sauce-2 TBS)


12 .  Kala Namak-SWAD ANUSAR(Black Salt-AS PER TASTE)


13 .  Haldi-1/2 CHOTA CAMMACH(TURMERIC-1/2 TSP)


14 .  Pyaj-1 BADI(Onion-1 BIG)


15 . Shimla Mirch-1 BADI(Capsicum-1 BIG) (Red , Green , Yellow)


16 . Ananas-2 BADE PIECE(Pineapple-2 SLICE)





             Mixture Or Paneer Ko Marinate Karne Ki Vidhi


Pahle Aapko Bataden Ki Paneer Tikka Hamesha Tandoor Ya Barbeque Me He Banaya Jata Hi koyle Ki Aanch Me Lekin Usse Kya Hota Hai Ki Ek Smoky Flavor Aata Hai Jo Taste Ko Or Badadeta Hai To Agar Isko Aap Ghar Me banana Cahte hai Or Aapke Paas Ye Aisa Kuch Intjaam Nahi Hai To Bhi Ham Aapko Vo Flavor Tak Lejane Ki Puri Kosish Karenge Bus Dhyan Se Padkar Samjhiyega...

1. To Sabse Pahle Aap Paneer Tikka Banane Se 3 , 4 Ghante Pahle Ek Cotton Ke kapde Me Dahi Ko Daalkar Usko Ek Jagah Taang Dege Jisse Ki Dahi Ka Sara Pani Nikal Jaye Jisse ke Dahi Me Bilkul Kam Pani Bache Jo Ki Paneer Se Aram Se Chipak Jaye .

2. 3 Se 4 Ghante Bitne Ke Baad Fir Ham Paneer Tikka Banane Ki Vidhi Shuru Karenge Sabse Pahle Paneer Ko Paneer Tikke Ke Shape Me Kaat Lenge .

3 .  Ab Dahi Lenge Jiska Pani Lagbhag Nikal Chuka Hai Isko Acchi Tarah Se Pahle Fetlenge Or Isme Kashmiri Lal Mirch Apne Swad Anusar , Namak , Kala Namak , Nimbu , Hari Chatni , Sarso Ka Tail , Garam Masala , Sukha Dhaniya Powder , Haldi , Pyaj Bade Tukde , Shimla Mirch Bade Tukde , Ananas Bade Tukde (Pineapple), Sab Ek Saath Milalenge Acche Se Or Sabka Mixture Aap Apne Taste Ke Hisab Se Rakhenge Jaise Ki Aapko Tikha Jyada Pasand Hai To Aap Green Catni Kashmiri Lal Mirch Ya Garam Masala Jyada Karsakte Hai Ager Tikha Normal Rakhna Hai To Aap Lagbhag Sabka Mixture Barabar Rakhkar Usko Apne Taste Ke Hisab Se Manage Karlenge

4 . Or Oil Sarso Ka Dhyan Rakhenge Ki Sirf Taste Ke leye He Use Karenge 2 Se 3 Spoon ..

5 . Ab Paneer Ko 30 Minute Se 1 Ghante Tak Ke Leye Marinate Hone Ke Leye Rakh Denge  
Jisse Ki Sab Ceej Ka Flavor Or Taste Usme Aajaye Or Aapke Paneer Tikke Boht Tasty Bane Jise Aapko Khane Me Or Logo Ko Khilane Me Boht He Majaa Aaye Or Boht He Khushi Mile .


                                                ..........Ab Banane Ke Vidhi..........

Pahle Unke Leye Jinke Paas Tandoor Ya Barbecue Nahi Hai

1 . Sabse Pahle Aap Sab Mixture Ko Ek Bade Bowl Me Rakhenge Jise Acche Se Kise Dhakkan Ki Madad Se Dhaka Ja Sake.

2 .  Ab Sab Mixture Ko Bowl Me Rakhkar Bich Me Thodi Jagah Banayenge Or Ek Badi se Katori Me Jalte Hue Koyle Rakhenge 3 Se 4 Or Usme Desi Ghee Dalkar Jaldi Se Dhakkan Ko Band Karenge 10 Se  15 Minute Tak Jisse Ki Sara Smoky Flavor Aapke Paneer Tikke Me Jaaye Or Khane Me Aapke Paneer Tikke Ka Taste Bad Sake .

3 . Ab Sab Mixture Ko 1 1 Karke Road Me lagayenge Jaise Pale Shimla Mirch , Pyaj, Patli Slice , Ananas , Paneer , Shimla Mirch , Pyaj ,,,,Aise Apne Hiab se 1 1 Karke Aap Road Me Lagayenge . 

4 .  Ab Aap Tava Lenge ,  Ya Grill Pan  Lenge Or Uspar 1 1 Karke Aap Acche Se Sab Jagah Se Paneer Ko Or Baki Sabji Ko Bhi Acche Se Bhungenge Jaise Bhi Color Me Usko Aap Khana Cahte Hai Vaise Color Me Convert Hone Tak..

5 .  Acche Se Bhunne Ke Baad Ab Aap Tave Ko Hatadenge Or Ab Sidha Gas Par Sekenge Paneer Tikke Ko Halka Halka Butter Lagakar Sari Taraf Se .

6 . Sab Acche Se Sikne Ke Baad Ab Aap Sab Paneer Tikke Ko Acche Se Bowl Me Nikallenge . 

7 .  Ab Ek Pan Me Butter Ko Acche Se Garam Karenge Or Garam Makkhan Ko Paneer Tikke Par Dalenge Iske Sath He Uspar Nimbu Ka Ras Dalenge Or Acche Se Mix Karenge Halke Haath Se Or Sabko Garma Garam Kuch Salad Ke Sath Or Green Chatni Ke Saath Garma Garam Parosenge.....

............................................................................................................................................................

............................................................................................................................................................

Ab Unke Leye Banane Ki Vidhi Jinke Paas Tandoor Ya Barbecue Hai Unke Leye Sab Boht Asaan hai Pahle Aap Sab Marinated Paneer Or Sabjiyo ko Stick Me lagakar Set Hone Ke Leye Rakh Denge Kuch is Tarah ....

Fir Sidha Inko Barbeque Par Rakhkar Brown Hone Tak Juicy Hone Tak Sek Lenge Har Taraf Thoda Thoda Butter Lagakar .... Or Last Me Sab Taiyar Hone Ke Baad Ek Bowl Me Sab Nikal Kar Ek Fry Pan Me Butter Ko Garam Karke In Sab Par Acche Se Dalenge Or Nimbu Ka Ras Dalenge Or Acche Se Mix Karke Garma Garam Serve Karenge ... 

To Bataiye Kaise Lagi Aapko Recipe Agya Na Aap Logo Ke Mooh Me Pani To Caliye Jaldi Se Ingredient Lijiye Or Shuru Hojaiye Banana .... Thank You

Paneer Tikka Makkhan Vala I PUNJABI PANEER TIKKA I INDIAN PANEER TIKKA I INDIAN STYLE PANEER TIKKA I HOME MADE PANEER TIKKA RECIPE IN HINDI I HOW TO MAKE PANEER TIKKA

0 comments:

Post a Comment

Please Do Not Enter Any Spam Link In The Comment Box .