HELLO DOSTO KAISE HAI AAP LOG , AASHA KARTA HOON SAB ACCHE HONGE , OR AAPKE SAATH SE HAM BHI ACCHE HAI , AAJ HAM BATANE JA RAHE HAI AAPKO NEW RECIPE INDIA DUM AALOO , JISKO AAP MERE TARAH BATAYE RECIPE KE TARAH HE BANAYENGE TO AAPKA MAN KAREGA JALDI SE BANAKAR KHALOON , IS RECIPE KE BAARE ME TO AAPNE NAAM TO SUNA HE HOGA , OR KHAYA BHI HOGA , OR KUCH LOGO NE KHAYA HOGA LEKIN NAAM NAHI PATA HOGA KI USKO KAHTE KYA HAI YE , OR YE ITNE TASTY KAISE HAI KYA KYA DALA HAI ISME TO CALIYE AAJ AAPKO IS RECIPE KE BAARE ME BATATE HAI .
INGREDIENTS
1 . ALLOO-500 GM(POTATO-500 GM)
2 . LAL MIRCH POWDER-1 BADI CAMMACH(RED CHILI POWDER-1 TBS)
3 . NAMAK-SWAD ANUSAR(SALT-AS PER TASTE)
4 . HEENG-1/2 CHOTA CAMMACH(ASAFORDITA-1/2 TSP)
5 . AMCHOOR-1/2 CHOTA CAMMACH(MANGO POWDER-1/2 TSP)
6 . GARAM MASALA-1/2 CHOTA CAMMACH(GARAM MASALA-1/2 TSP)
7 . HARA DHANIYA-4 BADE CAMMACH(FRESH GREEN CORIANDER-4 TBS)
8 . HARI MIRCH-3 (GREEN CHILI-3)
9 . DAHI-2OO GM(CURD-200 GM)
10 . ADRAK LEHSUN PASTE-2 BADE CAMMACH(GINGER GARLIC PASTE-2 TBS)
11 . NIMBU-1 (LEMON-1)
12 . TEL-TALNE KE LEYE OR TADKA LAGANE KE LEYE (OIL-FOR FRYING OR TEMPRING)
13 . CREAM -200 GM
14 . PYAJ- 5(ONION-5)
15 . TAMATAR -3(TOMATO-3)
16 . JEERA-1 CHOTA CAMMACH(CUMIN SEEDS-1 TSP)
17 . HALDI-1 CHOTA CAMMACH(TURMERIC)
BANANE KI VIDHI
1 . PAHE ALOO LENG OR USKO 50 PERCENT HONE TAK UBAAL LENGE .
2 . 50 PERCENT UBAL JANE KE BAAD ALLOO KO CHOTE TUKDO ME KAATKAR SIDE KARLENGE .
3 . AB PYAJ OR TAMATAR LENGE OR INKO CHOTA CHOTA KAATLENGE BILKUL .
4 . AB EK BARTAN LENGE USME OR USME OIL DALKAR KATE HUE AALOO KO ACCHE SE GOLDEN BROWN HONE TAK FRY KARLENGE .
5 . AB BARTAN ME THODA OIL DALKAR USME JEERA , HEENG , PYAJ , TAMATAR , DALKAR THODA BHUN LENGE .
6 . THODA BHUNTE HE FIR USME SABHI MASALE MIX KARDENGE JAISE KE , AMCHOOR , NAMAK , LAL MIRCH , GARAM MASALA , HALDI OR THODI DAHI MILAKAR SAB ACCHE SE MIX KARLENGE OR BADIYA SA MASALA TAIYAR KARLENGE .
7 . AB IS MASALE KO CHECK KARLENGE KUCH KAM JYADA HAI TO USKO BHI ADJUST KARLENGE OR FIR ISME FRY ALLOO KO MIX MIX KARLENGE ACCHE SE OR THODA PANI DALKAR PAKNE DENGE .
0 comments:
Post a Comment
Please Do Not Enter Any Spam Link In The Comment Box .